Maa…Mamta Ki Murat

Maa tum kaise seh letee ho janm denee se pehlee ka dard.

Par mein isse dard kyon keh raha hoon,

Yeh to tumhare zindagee kee sab se badi chahat hoti hai ki to Maa ban sake.

Kis betabi se intezar karti ho uss din ka jab to bhi Maa ban sakee.

Maa dard sirf janm se pehle hi nahi janm ke badd bhi sehti ho khushi khushi.

Lab pe uff tak nahi hoti bass anthak parvarish mein lag jatee ho.

Tab tak thakti nahi jab tak apna sapna parvan chadtee nahi dekhti.

Maa tu to murat ho mamta ki muhabaat ki aur kudrat ki sab se badi niyamat ho tum.

Tum ko jitne bhi salam karon kam hai bas itna kehta hoon.

Tu jiye aur sukh bhoge.Naman…Naman …tum ko lakhoon Naman MAA.

“Manu”